Ye Aurat Ka Tamasha Hai…

Ye Aurat ka tamasha hai

Ye aurat ka tamasha hai

Magar kiska khulasa hai

Amin jiska hua tha mard

Jis ka maas khata tha

Lahoo pee kar hua zinda

Usi par tars khata hai

Lagayi um’r jisay maine

Wo sari um’r gata hai

Hai aurat mard ki joti

Ye joti ka tamasha hai

Nahi sunti wo jab meri

Mujhy badkhair lagti hai

Faqat farman’ ravi mein ho

Tou hoor e dehr lagti hai

Wo sad Laila sahi lekin

Mujhy wo bair lagti hai

Meri humdum bhe ho tou kya?

Ye jo’ti ka tamasha hai.

Bara saffak hon logo

Agar apni bhe dukhtar ho

Na dill mein lou e muhabbat ho

Tou wo bhe zehar lagti hai

Biyahna chahta hon mein

Usy uski umr se pehly

Magar jab dekhta hon door e rawan k abla paa log

Mujhy ab dar ye lagta hai kahan wo dehr rakhti hai

Sabhi adaab dey bhe dun

Muzayyin ikhlaq se kardun

Magar ye log! Naseh log

Mujhy ab zer lagty hain

Mujhy ab der lagti hai

Usy tadfeen karne mein

Inhi shehnaiyon ki gonj mein wo sher lagti hai..

Wo mashriq ki mehmil ho

Ya maghrib ki mona lisa

Tamasha jab bhe ho uska

Wo ibn e ghair lagti hai

Yun tou..

Arasta taleem se karke

Saja k dheron naseehaton se

Main uski Tabi’yyat banata hon

Ye usko rond deta hai

Zamana jabr karta hai

Tamasha tab hi banta hai

Wo dekho meri hawwa hai

Nahi jisk liay sarkon p bhe mehfoz ab chalna

Wo ghar mein ho bhe tou dill ko rahay bechain sa dharka

Kya kuch ghalti hoi mujhsy?

Mujhy kisko batana tha?

K aurat maan hoti hai

K aurat iman hoti hai

K aurat aan hoti hai

K aurat k azaim bhe us hi ki tarha muqaddas hain

Wo bhe insan hoti hai…

Ye INSAN ka tamasha h….

Mere Baitay…

 

Leave a comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *